har kaam yuuñ karo ki hunar bolne lage
mehnat dikhe sabhī ko asar bolne lage
is bevafā se bolnā tauhīn thī mirī
lekin ye mere zaḳhm-e-jigar bolne lage
tahzīb chup hai ilm-o-adab aaj sharmsār
dekho pitā ke muñh pe pisar bolne lage
āñkhoñ se maiñ zabān kā aise bhī kaam luuñ
jo bhī maiñ kahnā chāhūñ nazar bolne lage
sab ham ko but-parast samajhte rahe magar
aise tarāshe ham ne hajar bolne lage
dair-o-haram ke naam pe jab shahar baT gayā
donoñ taraf se teġh-o-tabar bolne lage
maiñ ne ġhazal sunā.ī 'zafar' kī zamīn meñ
sab dost mere mujh ko zafar bolne lage
tū hai 'dinesh' aur vo hai chaudhvīñ kā chāñd
aapas meñ kab se shams-o-qamar bolne lage