kitāb-e-zīst se kuchh iqtibās tasvīreñ
ḳhushī ke lamhoñ meñ detīñ miThās tasvīreñ
akele-pan bhī hamārā ye duur kartī hai
ki rakh ke dekho zarā apne paas tasvīreñ
kuchh aise rañg bharo jo samay se utre nahīñ
ye mū-qalam se kareñ iltimās tasvīreñ
ḳhudā ke paas ga.e jab se vāldain mire
mirī hayāt kī hai bas asaas tasvīreñ
sulagtī ret pa sāgar kā aks bhī dikhtā
lagātī dekhiye kyā kyā qayās tasvīreñ
guzishta vaqt meñ rahnā 'dinesh' chhoḌ bhī de
na baar baar tū ab dekh udaas tasvīreñ