naqāb chehre pe bāteñ luāb-dār kare
vo rahnumā hai siyāsat kā kārobār kare
ye sirf ḳhvāboñ kitāboñ kī baat lagtī hai
ki ik ġharīb kī imdād māl-dār kare
na.e zamāne kā rahzan nayā salīqa hai
vo lauTtā hai magar pahle hoshiyār kare
charāġh le ke bhī DhūñDheñge to milegī nahīñ
jahāñ meñ ek bhī hastī jo maañ sā pyaar kare
havā ke zor se hī kashtiyāñ nahīñ chaltīñ
ki nāḳhudā bhī ḳhudā se zarā guhār kare
vo gul-badan hai mukammal bahār se baḌh kar
bas us kā zikr hī mausam ko ḳhush-gavār kare
na jaane kaun sī bastī kā tū hai bāshinda
tujhe 'dinesh' koī ġham na be-qarār kare