bachpan thā vo hamārā yā jhoñkā bahār kā
lauT aa.e kaash phir vo zamāna bahār kā
khiḌkī meñ ik gulāb mahaktā thā sāmne
barsoñ se band hai vo darīcha bahār kā
kaliyoñ kā husn gul kī mahak titliyoñ kā raqs
hai yaad mujh ko aaj bhī chehra bahār kā
arsa guzar gayā pa lage kal kī baat ho
us bāġh-e-husn meñ mirā darja bahār kā
daur-e-ḳhizāñ meñ dil ke bahalne kā hai sabab
āñkhoñ meñ merī qaid nazāra bahār kā
kaliyāñ ko bāġhbāñ hī masaltā hai jab kabhī
rotā hai zaar zaar kaleja bahār kā
marzī pe gulsitāñ kī bhalā kab hai munhasir
aanā bahār kā yā na aanā bahār kā