tīr-e-abrū jab kamāñ tak aa ga.e
un kī zad meñ jism-o-jāñ tak aa ga.e
daaġh sīrat par lage the aur ham
basti-e-sūrat-garāñ tak aa ga.e
rafta rafta kam huā zabt-e-alam
dard-e-jāñ merī zabāñ tak aa ga.e
ham ko bhī ik gul-badan kī chaah thī
ham bhī koī gulsitāñ tak aa ga.e
manzil-e-maqsūd bhī dikhne lagī
ham jo mīr-e-kārvāñ tak aa ga.e
yaad aayā jab hameñ bachpan bahut
ham khilaunoñ kī dukāñ tak aa ga.e
qātiloñ ke paas thī daulat apaar
un ke haq meñ hukmarāñ tak aa ga.e
mausam-e-gul sirf yādoñ meñ hai ab
umr guzrī ham ḳhizāñ tak aa ga.e