sab ke chehroñ pe jab ḳhushī hogī
kyā 'dinesh' aisī sub.h bhī hogī
log nikle haiñ jo ye sham.a liye
nirbhayā phir koī luTī hogī
sard mausam meñ be-gharoñ kī dashā
bebasī ḳhud bhī ro rahī hogī
kyā kabhī inqalāb aa.egā
in añdheroñ meñ raushnī hogī
sab ke hoñToñ pe ye savāl hai ab
kab siyāsat ko hathkaḌī hogī
abr barsegā TuuT kar jis din
duur dhartī kī tishnagī hogī
uTh ke zālim ko de javāb 'dinesh'
zulm sahnā to buzdilī hogī