āb-e-hayāt jā ke kisū ne piyā to kyā
mānind-e-ḳhizr jag meñ akelā jiyā to kyā
shīrīñ-labāñ siiñ sañg-diloñ ko asar nahīñ
farhād kaam koh-kanī kā kiyā to kyā
jalnā lagan meñ sham.a-sifat saḳht kaam hai
parvāna juuñ shitāb abas jī diyā to kyā
nāsūr kī sifat hai na hogā kabhū vo band
jarrāh zaḳhm-e-ishq kuuñ aa kar siyā to kyā
mohtājgī suuñ mujh kuuñ nahīñ ek dam farāġh
haq ne jahāñ meñ naam kuuñ 'hātim' kiyā to kyā