Shaikh Zahuruddin Hatim

ab ki chaman mein gul ka ne nam o ne nishan hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ab kī chaman meñ gul kā ne naam o ne nishāñ hai
fariyād-e-bulbulāñ hai yā shohra-e-ḳhizāñ hai
ham sair kar jo dekhā rū-e-zamīñ ke uupar
āsūdgī kahāñ hai jab tak ye āsmāñ hai
ham kyā kaheñ zabāñ se aap hī tū sun rahegā
shikva tire sitam kā zālim jahāñ tahāñ hai
muddat huī ki mar kar maiñ ḳhaak ho gayā huuñ
jiine kā bad-gumāñ ko ab tak mire gumāñ hai
holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne
nām-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai
makre se fā.eda kyā rindoñ se kab chhupī hai
kyā hājat-e-bayāñ hai jo kuchh hai sab ayaañ hai
rañg-e-gulāl muñh par aisā bahār de hai
juuñ āftāb-e-tābāñ zer-e-shafaq nihāñ hai
kesar meñ is tarah se ālūda hai sarāpā
sunte the ham so dekhā to shāḳh-e-za.afarāñ hai
aap hī meñ dekh 'hātim' vahdat ke biich kasrat
tū ek o ek jā hai aur dil kahāñ kahāñ hai
Top Urdushayar.com