kyā satāte ho raho banda-navāz
ki nahīñ ḳhuub ye ḳhū banda-navāz
be-sabab be-vaj.h o be-taqsīr
is qadar ġhussa na ho banda-navāz
zulm nāhaq na karo koī din
jiyo aur jīvne do banda-navāz
mai-kasho biich na baiTho hargiz
ḳhuun merā na piyo banda-navāz
itr ko mal ke na aao ham paas
zab.h kartī hai ye bū banda-navāz
kab talak apnī kahe jāoge
baat merī bhī suno banda-navāz
vājib-ul-qatl tumhārā maiñ huuñ
aur kā naam na lo banda-navāz
go ki sab mujh ko burā kahte haiñ
tum zabāñ siiñ na kaho banda-navāz
kis kā muñh hai jo tire sanmukh ho
ho na ho ā.īna ho banda-navāz
jā tirī chashm meñ merī hai jā
sarv ho hai lab-e-jū banda-navāz
vasf-e-kākul meñ sadā goyā hai
jo zabāñ har sar-e-mū banda-navāz
dil se 'hātim' ba-ḳhudā banda hai
duur ḳhidmat se hai go banda-navāz