Shaikh Zahuruddin Hatim

ji tarasta hai yar ki KHatir

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jī tarastā hai yaar kī ḳhātir
uus siiñ bos-o-kanār kī ḳhātir
tere aane se yū ḳhushī hai dil
juuñ ki bulbul bahār kī ḳhātir
ham siiñ mastoñ ko bas hai terī nigāh
toḌne kuuñ ḳhumār kī ḳhātir
bas hai uus sañg-dil kā naqsh-e-qadam
merī lauh-e-mazār kī ḳhātir
umr guzrī ki haiñ khulī 'hātim'
chashm-e-dil intizār kī ḳhātir
Top Urdushayar.com