Shaikh Zahuruddin Hatim

kahin wo surat-e-KHuban hua hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
kahīñ vo sūrat-e-ḳhūbāñ huā hai
kahīñ vo āshiq-e-hairāñ huā hai
kahīñ gul hai kahīñ bulbul kahīñ baaġh
kahīñ dard o kahīñ darmāñ huā hai
kahīñ mast o kahīñ hoshyār hai vo
kahīñ daanā kahīñ nādāñ huā hai
kahīñ ḳhaak o kahīñ baad o kahīñ aab
kahīñ vo ātish-e-sozāñ huā hai
kahīñ lafz o kahīñ ma.anī kahīñ harf
kahīñ pothī kahīñ qur.āñ huā hai
kahīñ nuur o kahīñ aiman kahīñ tuur
kahīñ muusā kahīñ imrāñ huā hai
kahīñ masjid kahīñ but-ḳhāna hai vo
kahīñ kufr o kahīñ īmāñ huā hai
kahīñ ḳhalq o kahīñ ḳhallāq-e-ālam
kahīñ zāhir kahīñ pinhāñ huā hai
kahīñ 'hātim' kahīñ jāñ-baḳhsh 'hātim'
kahīñ 'hātim' kā jā mehmāñ huā hai
Top Urdushayar.com