banda agar jahāñ meñ bajā.e ḳhudā nahīñ
lekin nazar karo to ḳhudā se judā nahīñ
nuqte kā farq hai gā ḳhudā aur judā meñ dekh
sūrat meñ gar chhupā hai ba-ma.anī chhupā nahīñ
har shai ke biich aap nihāñ ho ayaañ huā
dekhā to ham ne us sā koī ḳhud-numā nahīñ
hairān aql-e-kul kī hai us kī sifat ko dekh
sab jā meñ jalva-gar hai magar ek jā nahīñ
lazzat chakhā ke dil ke ta.iiñ hijr o vasl kī
'hātim' se mil rahā hai aur ab tak milā nahīñ