is daur ke asar kā jo pūchho bayāñ nahīñ
hai kaun sī zamīñ ki jahāñ āsmāñ nahīñ
is darja dilbaroñ se koī rasm-e-dilbarī
dil haath par liye huuñ koī dil-sitāñ nahīñ
afsurda dil thā ab to huā ġham se murda-dil
jiitā huuñ dekhne meñ vale mujh meñ jaañ nahīñ
ādāb sohbatoñ kā koī ham se siikh le
par kyā karūñ ki tālib-e-sohbat yahāñ nahīñ
dil jal ke bujh gayā hai kisī ne ḳhabar na lī
ham soḳhta-diloñ kā koī qadr-dāñ nahīñ
hai kal kī baat sab ke diloñ meñ aziiz thā
par in dinoñ to ek bhī dil mehrbāñ nahīñ
aisī havā bahī ki hai chāroñ taraf fasād
juz sāya-e-ḳhudā kahīñ dār-ul-amāñ nahīñ
aalam kī haigī nirḳh-e-ilāhī se zindagī
tis par bhī dekhtā huuñ ki bahutoñ ko naañ nahīñ
'hātim' ḳhamosh lutf-e-suḳhan kuchh nahīñ rahā
baktā abas phire hai koī nukta-dāñ nahīñ