Shaikh Zahuruddin Hatim

sach agar puchho to na-paida hai yak-ru aashna

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
sach agar pūchho to nā-paidā hai yak-rū āshnā
saare aalam meñ jo hoñ shāyad to yak do āshnā
hāzir o ġhā.eb ho yaksāñ zāhir o bātin ho saaf
is tarah kā kam nazar aayā hai yaksū āshnā
ham vo muḳhlis haiñ ki āñkheñ dekhte guzrī hai umr
jī nikal jaave jo ho ham se kaj-abrū āshnā
saare aalam se karūñ maiñ tark rasm-e-dostī
mujh se hove ai mire dushman agar tū āshnā
kis ke kūche meñ tū ho niklī thī haañ sach kah nasīm
tujh meñ jo bū hai so hai muddat se ye bū āshnā
jāñ-ba-lab huuñ maiñ to in yāroñ kī ḳhush-ḳhalqī ko dekh
hai ma.āz-allāh jo ho sohbat meñ bad-ḳhū āshnā
ek bhī ham ne na dekhā dost 'hātim' ba.ad-e-marg
hai takalluf-bar-taraf kū yaar aur kū āshnā
Top Urdushayar.com