Shaikh Zahuruddin Hatim

na kuchh sitam se tere aah aah karta hun

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
na kuchh sitam se tire aah aah kartā huuñ
maiñ apne dil kī madad gaah gaah kartā huuñ
na āfrīñ na dilāsā na dil-dahī na nigāh
ġharaz maiñ hī huuñ jo tujh se nibāh kartā huuñ
ise kaheñ haiñ sunā hogā shaiḳh ḳhauf o rajā
udhar tū tauba idhar maiñ gunāh kartā huuñ
tū apne dil kī siyāhī kare hai dho ke safed
maiñ apne naama amal kā siyāh kartā huuñ
tū roz sañg se masjid ke sar paTaktā hai
maiñ us kā naqsh-e-qadam sajda-gāh kartā huuñ
tujhe hai apnī ibādat upar nazar kyūñkar
maiñ us ke fazl ke uupar nigāh kartā huuñ
misāl-e-rishta-e-tasbīh roz o shab 'hātim'
chhupe chhupe maiñ kisī dil meñ raah kartā huuñ
Top Urdushayar.com