rakhtā huuñ maiñ haq par nazar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
hushyār huuñ yā be-ḳhabar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
qismat muqaddar buujh kar ġhaflat meñ aa kar hirs se
phir kyā hai phirnā dar-ba-dar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
juz ma.asiyat ke kuchh nahīñ hai kaam mujh aasī ke ta.iiñ
har roz o har shaam o sahar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
kuchh nek o bad kahne kā ab ḳhatra nahīñ hai ḳhalq kā
yaksāñ kiyā naf o zarar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
hai chaar din kī zindagī ḳhush rah ke āḳhir ke ta.iiñ
duniyā se jaanā hai guzar koī kuchh kaho koī kuchh kaho
'hātim' tavaqqo.a chhoḌ kar aalam meñ tā shaah o gadā
aa kar lagā haidar ke dar koī kuchh kaho koī kuchh kaho