jis ne aadam ke ta.iiñ jaañ baḳhshā
ḳhizr ko chashma-e-haivāñ baḳhshā
pīr-e-kan.āñ ko diyā dard-e-firāq
yūsuf-e-misr ko zindāñ baḳhshā
taḳht barbād sulaimāñ kā kiyā
dev ko mulk-e-sulemāñ baḳhshā
zīnat aflāk ko dī anjum se
mahr ko nūr-e-daraḳhshāñ baḳhshā
zevar-e-husn kiyā chashm-e-hayā
ishq ko dīda-e-hairāñ baḳhshā
kohkan ko kamar-e-koh diyā
qais ko dasht kā dāmāñ baḳhshā
rañg-o-bū gul ko diyā gulshan meñ
sair-e-bulbul ko gulistāñ baḳhshā
kufr kāfir ke nasīboñ meñ likhā
ahl-e-islām ko īmāñ baḳhshā
roz-e-mīsāq meñ 'hātim' ke ta.iiñ
chashm-e-giryāñ dil-e-biryāñ baḳhshā