Shaikh Zahuruddin Hatim

phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
phir ḳhabar is fasl meñ yaaro bahār aane kī hai
ab ba-juz zanjīr kyā tadbīr dīvāne kī hai
ḳhaak kar deve jalā kar pahle phir Tisve bahā.e
sham.a majlis meñ baḌī dil-soz parvāne kī hai
bhed zulfoñ kā bayāñ karne meñ ho jaatā hai guñg
varna kahne ko jo pūchho sau zabāñ shāne kī hai
shaiḳh us kī chashm ke goshe se goshe ho kahīñ
us taraf mat jaao nādāñ raah mai-ḳhāne kī hai
hausla tañgī kare hai shahr ke kūche haiñ tañg
ab havas dil meñ hamāre sair vīrāne kī hai
chāhiye kyā baat kahte ho jahāñ meñ qatl-e-ām
der muñh se ab tumhāre hukm farmāne kī hai
jī meñ aatā hai ki 'hātim' aaj us ko chheḌiye
muddatoñ se dil meñ hasrat gāliyāñ khāne kī hai
Top Urdushayar.com