Shaikh Zahuruddin Hatim

jis ko dekha so yahan dushman-e-jaan hai apna

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jis ko dekhā so yahāñ dushman-e-jāñ hai apnā
dil ko jaane the ham apnā so kahāñ hai apnā
qissa-e-majnūñ-o-farhād bhī ik pardā hai
jo fasāna hai yahāñ sharh-o-bayāñ hai apnā
vasf kahne meñ tire husn ke sharminda huuñ
us ke qābil na zabāñ hai na dahāñ hai apnā
jis ko jaanā ho bhalā us ko burā kyā kahiye
go ki bad-vaz.a hai par ab to miyāñ hai apnā
Top Urdushayar.com