Shaikh Zahuruddin Hatim

ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ne shikva-mañd dil se na az-dast-dīda huuñ
is baḳht-e-nā-rasā se aziyyat-kashīda huuñ
kū ḳhanda kū tabassum o kū fursat-e-suḳhan
is anjuman meñ haiñ lab-e-hasrat-gazīda huuñ
ne kaam kā kisī ke na mujh ko kisī se kaam
hairāñ huuñ kis liye maiñ yahāñ āfrīda huuñ
hastī ko ne sabāt na jiine kā e'timād
kis kī umiid par koī dam āramīda huuñ
merā to kaam ek palak meñ tamām hai
mānind-e-ashk bar-sar-e-mizhgāñ rasīda huuñ
gulchīñ abas nigāh rakhe hai mirī taraf
maiñ is chaman meñ juuñ gul-e-rañg-e-parīda huuñ
sauñpūñ maiñ kyuuñ na apnā garebāñ ajal ke haat
ai umr zindagī se maiñ dāman-kashīda huuñ
is vāste tū qadr mirī jāntā nahīñ
haañ in tire ġhulāmoñ meñ be-zar ḳharīda huuñ
merā bhī dil shagufta kabhū ho nasīm-e-vasl
bahutoñ kā is chaman meñ maiñ ab ḳhārvīda huuñ
pās-e-adab se us ke qadam tak nahīñ majāl
varna na pā-shikasta na dast-e-burīda huuñ
dushman se bhī tavāzo meñ rakhtā nahīñ dareġh
ta.azīm ko adū kī maiñ teġh-e-ḳhamīda huuñ
rone talak to kis ko hai fursat yahāñ sahāb
tūfāñ huā bhī jo Tuk ik āb-dīda huuñ
yārāñ dimāġh ko jo karūñ tum se iḳhtilāt
is dasht meñ maiñ vahshī-e-az-ḳhud-ramīda huuñ
kyā pūchhte ho dard ko 'hātim' ke dostāñ
jo kuchh ki huuñ so huuñ ġharaz āfat-rasīda huuñ
Top Urdushayar.com