har gul us baaġh kā nazroñ meñ dahāñ hai goyā
sūrat-e-ġhuncha jo dekhūñ to zabāñ hai goyā
taak kī tarah sabhī mast paḌe aiñDeñ haiñ
mai-kada ab girav-e-bāda-kashāñ hai goyā
chashm hai turk nigah neza o mizhgāñ tarkash
zulf-e-pur-pech kā har halqa kamāñ hai goyā
jā bhiḌātā hai hamesha mujhe ḳhūñ-ḳhvāroñ se
dil baġhal-bīch mirā dushman-e-jāñ hai goyā
'hātim' ab us kī sabhī muñh kī taraf dekhe haiñ
shīsha majlis meñ yahāñ pīr-e-muġhāñ hai goyā