Shaikh Zahuruddin Hatim

dard-e-dil meri aah se puchho

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
dard-e-dil merī aah se pūchho
sabab us kī nigāh se pūchho
ma.ani-e-be-muravvatī-e-butāñ
us taġhāful-panāh se pūchho
bā.is-e-tīra-baḳhti-e-ālam
us kī zulf-e-siyāh se pūchho
us kī teġh-e-sitam kā sharh o bayāñ
jā kisī be-gunāh se pūchho
us ke mukhḌe kī raushnī kī sifat
mujh se kyā mahr o maah se pūchho
girya o nāla-o-fuġhāñ kyuuñ hai
ye mire dil kī chaah se pūchho
mahzar-e-husn-o-ishq kā qaziya
haq hai shāhid gavāh se pūchho
kyā kaheñ uus kā ghar hai kitnī duur
thak ga.e ham to raah se pūchho
qibla 'hātim' kidhar hai raast batā
jā ke us kaj-kulāh se pūchho
Top Urdushayar.com