Shaikh Zahuruddin Hatim

dekhte sajde mein aata hai jo karta hai nigah

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
dekhte sajde meñ aatā hai jo kartā hai nigāh
tere abrū kī hai mehrāb magar baitullāh
yak palak meñ vo kare piis ke faujeñ surma
jis taraf ko phire zālim tirī mizhgāñ kī sipāh
bait-bahsī na kar ai fāḳhta gulshan meñ ki aaj
misra-e-sarv se mauzūñ hai mirā misra-e-āh
kishvar-e-ishq kī shāhī hai magar majnūñ ko
ki zamīñ taḳht hai sar par hai bagūle kī kulāh
kyūñkar in kaalī balāoñ se bachegā āshiq
ḳhat siyah ḳhaal siyah zulf siyah chashm siyāh
chāhtā hai shab-e-zulfāñ kī tirī umr darāz
ki mire ishq kā hove nahīñ qissa kotāh
kyā kahe kyūñki kahe tujh se ye 'hātim' ġham-e-dil
ki vo hai sharm se mahjūb o tū hai be-parvāh
Top Urdushayar.com