āshiq kā jahāñ meñ ghar na dekhā
aisā koī dar-ba-dar na dekhā
jaisā ki uḌe hai tā.ir-e-dil
aisā koī tez-par na dekhā
ḳhūbān-e-jahāñ hoñ jis se tasḳhīr
aisā koī ham hunar na dekhā
TuuTe dil ko banā dikhāve
aisā koī kārī-gar na dekhā
us teġh-e-nigah se ho muqābil
aisā koī be-jigar na dekhā
jaarī haiñ hamesha chashma-e-chashm
aisā koī abr-e-tar na dekhā
jo aab hai aabrū meñ 'hātim'
aisā koī ham guhar na dekhā