Shaikh Zahuruddin Hatim

jab se tumhaari aankhen aalam ko bhaiyan hain

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jab se tumhārī āñkheñ aalam ko bhā.iyāñ haiñ
tab se jahāñ meñ tum ne dhūmeñ machā.iyāñ haiñ
jaur-o-jafā o mehnat mehr-o-vafā-o-ulfat
tum kyuuñ baḌhā.iyāñ haiñ aur kyuuñ ghaTā.iyāñ haiñ
mil mil ke ruuTh jaanā aur ruuTh ruuTh milnā
ye kyā ḳharābiyāñ haiñ kyā jag-hañsā.iyāñ haiñ
Tuk Tuk sarak sarak kar aa baiThnā baġhal meñ
kyā achpalā.iyāñ haiñ aur kyā DhiTā.iyāñ haiñ
zulfoñ kā bil banāte āñkheñ churā ke chalnā
kyā kam-nigāhiyāñ haiñ kyā kaj-adā.iyāñ haiñ
ā.īna rū-ba-rū rakh aur apnī saj banānā
kyā ḳhud-pasañdiyāñ haiñ kyā ḳhud-numā.iyāñ haiñ
āñchal uThā ke tum ne jo Dhāñk liiñ ye chhatiyāñ
kis ko dikhā.iyāñ haiñ kis se chupā.iyāñ haiñ
tum meñ jo shoḳhiyāñ haiñ aur chanchalā.iyāñ haiñ
kin ne sikhā.iyāñ haiñ kin ne batā.iyāñ haiñ
'hātim' ke bin ishāra sach kah ye chashm-o-abrū
kis se laḌā.iyāñ haiñ kis par chaḌhā.iyāñ haiñ
Top Urdushayar.com