Shaikh Zahuruddin Hatim

jo mai-KHane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jo mai-ḳhāne meñ jaatā thā qadam rakhte jhijhaktā thā
ki sāġhar aañkh dikhlātā thā aur shīsha bhabhaktā thā
tamāsha ho rahā thā abr meñ rone se kyā mere
udhar paanī barastā thā idhar lohū Tapaktā thā
baḌā ehsāñ kiyā jo dil ko mere khīñch kar kāḌhā
ki muddat se mire siine meñ juuñ kāñTā khaTaktā thā
tire kūche meñ maiñ ne aaj dasht-e-karbalā dekhā
koī maarā paḌā thā aur paḌā koī sisaktā thā
gayā thā teliyā kapḌoñ se tū ā.īna-ḳhāne meñ
ki ab tak ḳhāna-e-ā.īna us bū se mahaktā thā
mazā lene ke ta.iiñ shīrīñ-maqālī kā tirī 'hātim'
khaḌā muñh ko adab se duur nādīda sā taktā thā
Top Urdushayar.com