Shaikh Zahuruddin Hatim

is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
is zamāne meñ na ho kyūñkar hamārā dil udaas
dekh kar ahvāl-e-ālam uḌte jaate haiñ havās
bas rahā hai bū se terī jān-e-man aisā dimāġh
be-dimāġh ham ko rakhe hai baaġh meñ phūloñ kī baas
jis taraf jaave tū ai ḳhurshīd-rū saaye kī tarah
har qadam maiñ bhī huuñ tere saath saath aur paas paas
tishnagī se chaah kī terī nahīñ sairāb dil
hai masal mash.hūr mustasqī kī na.iiñ bujhtī hai pyaas
haq se milnā gerve kapḌoñ upar mauqūf na.iiñ
dil ke ta.iiñ rañgo faqīrī ye hai aur sab hai libās
juuñ juuñ tū sāġhar piye hai ġhair kī majlis ke biich
tuuñ tuuñ ai bad-mast dil meñ mere aatā hai hirās
kunah zāt-e-haq ko kyā paave koī 'hātim' kabhū
sab ke aajiz haiñ yahāñ vahm-o-gumāñ fahm o qayās
Top Urdushayar.com