hamārī sair ko gulshan se kū-e-yār behtar thā
nafīr-e-bulbuloñ se nāla-hā-e-zār behtar thā
anal-haq kī haqīqat ko jo ho mansūr so jaane
ki us ko āsmāñ chaḌhne se chaḌhnā daar behtar thā
kabhū bīmār sun kar vo ayādat ko to aatā thā
hameñ apne bhale hone se vo āzār behtar thā
tū apne man kā mankā pher zāhid varna kyā hāsil
tujhe is makr kī tasbīh se zunnār behtar thā
na kahtā maiñ ki āshiq huuñ tirā to kyuuñ vo ram kartā
mujhe iqrār ab karne se vo inkār behtar thā
hamārī aql meñ ghar kī giraftārī se 'hātim' ko
kaho dīvāna phirnā kūcha o bāzār behtar thā