Shaikh Zahuruddin Hatim

hamein yaad aawti hain baaten us gul-ru ki rah rah ke

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
hameñ yaad aavtī haiñ bāteñ us gul-rū kī rah rah ke
nahīñ haiñ baaġh meñ mushtāq ham bulbul ke chah chah ke
karegā qatl kis ko dekhiye vo teġh-zan yaaro
chalā aatā hai apne haath meñ qabze ko gah gah ke
nashā aisā huā us kī nigah kā jo nahīñ thamte
hamāre ashk jaate haiñ chale chashmoñ se bah bah ke
ham us kā muskurānā yaad kar ro ro ke hañste haiñ
nahīñ mushtāq ab bāzār ke ḳhandoñ ke qah-qah ke
suḳhan meñ faḳhr apnā bin kiye rahtā nahīñ 'nājī'
use samjhā.e 'hātim' kis tarah ash.ār kah kah ke
Top Urdushayar.com