Shaikh Zahuruddin Hatim

is waste niklun hun tere kuche se bach bach

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
is vāste niklūñ huuñ tire kūche se bach bach
har ek machātā hai mujhe dekh ke kach-kach
nairañgī-e-qudrat kā vahī diid kare hai
paanī kī tarah ho jo har ik rañg meñ rach-rach
sar par se to mandīl ko ab duur kar ai shaiḳh
gardan tirī is bojh se ab kartī hai lach-lach
nādān hai aisā ki jo dushman mire haq meñ
jhūTī use kahte haiñ to vo jaane hai sach sach
maktab meñ jo kī sair to dekhā ye tamāshā
mullā ke bhī shāgird haiñ murġhe ke se kach-kach
zar hove to ma.ashūq bhī haath aave hai 'hātim'
muflis abas is fikr meñ jī deve hai nach-nach
Top Urdushayar.com