Shaikh Zahuruddin Hatim

tariqat mein agar zahid mujhe gumrah jaane hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tarīqat meñ agar zāhid mujhe gumrāh jaane hai
mire dil kī haqīqat ko mirā allāh jaane hai
vo be-parvā mirā kab imtiyāz-e-chāh jaane hai
mirī hālat ko dil aur dil kī hālat aah jaane hai
use jo dekhtā hai din ko so ḳhurshīd jaane hai
jo ghar se raat ko nikle to aalam maah jaane hai
hamārī baat ko vo āqibat-nā-fahm kyā maane
jo bad-ḳhvāhoñ ko apne apnā daulat-ḳhvāh jaane hai
mirā dil bār-e-ishq aisā uThāne meñ dilāvar hai
jo us ke koh duuñ sar par to us ko kaah jaane hai
hameñ dair o haram shaiḳh o barhaman se nahīñ matlab
hamārā dil to apne dil ko baitullāh jaane hai
vo vahshī is qadar bhaḌkā hai sūrat se mire yaaro
ki apne dekh saa.e ko mujhe hamrāh jaane hai
kaheñ ham bahr-e-be-pāyān-e-ġham kī māhiyat kis se
na lahroñ se koī vāqif na koī thaah jaane hai
ḳhudā ke vāste insāf kiijo kyā tamāsha hai
maiñ us kā ḳhair-ḳhvāh aur vo mujhe bad-ḳhvāh jaane hai
agar vo fitna jo tujh se mile 'hātim' to kah diijo
ki mansūbe tire sab banda-e-dargāh jaane hai
Top Urdushayar.com