āshiqoñ ke sair karne kā jahāñ hī aur hai
un ke aalam kā zamīn o āsmāñ hī aur hai
pūchhtā phirtā hai kyā har ek se un kā surāġh
lā-makāñ haiñ un ko rahne kā makāñ hī aur hai
āzmā.ish in kī vaz.on kā tujhe hai gā zarar
ye vo firqa hai ki in kā imtihāñ hī aur hai
kyā ḳharīdegā ḳharāb-ābād ke bāzār meñ
dard kī ho jins jis meñ vo dukāñ hī aur hai
sañg o gul kā tauf ho tujh ko mubārak hājiyo
hazrat-e-dil ke haram kā kārvāñ hī aur hai
baiThne ko shāḳh-e-tūbā par nahīñ kartīñ nigāh
is chaman kī bulbuloñ kā āshiyāñ hī aur hai
us ko kyā nisbat kisī afsāna-o-qisse ke saath
ishq ke daftar kī 'hātim' dāstāñ hī aur hai