zor yaaro aaj ham ne fat.h kī jañg-e-falak
yak tamāñche meñ kabūdī kar diyā rañg-e-falak
garmī-e-dūkāñ par apnī shīshagar sarkash na ho
DhūñDhtā phirtā hai tere sar ke ta.iiñ sañg-e-falak
kaj-ravī se us kī gar aaqil hai tū ġhāfil na rah
in dinoñ aur hī nazar aatā hai kuchh Dhañg-e-falak
tū jo tul baiThe to palle chāhiye hoñ mahr-o-māh
aisī mīzāñ ke ta.iiñ lāzim hai passañg-e-falak
shauq hai gar sair-e-bālā kā to 'hātim' ho savār
kahkashāñ se khīñch kar laayā huuñ ab tañg-e-falak