auqāt-e-shaiḳh go ki sujūd o qayām hai
mere kane to ek ḳhudā hī kā naam hai
har sub.h uTh butoñ se mujhe raam raam hai
zāhid tirī namāz ko merā salām hai
terī nigah ke daur meñ aisā huā huuñ mast
sāġhar se mujh ko aañkh milānā harām hai
ham aur terī shikāyateñ zālim ḳhudā se Dar
bohtān hai ġhalat hai ye mahz ittihām hai
din ko na bhuuk hai na mujhe raat ko hai niiñd
is rozgār meñ ye mirī sub.h o shaam hai
martā huuñ aa ke dekh tire intizār meñ
varna sunegā ab koī dam ko tamām hai
qāsid kahāñ chalā hai mujhe bhī ḳhabar to de
yak dam tū baiTh jā ki mujhe tujh se kaam hai
tujh ko qasam ḳhudā kī jo jaatā hai us taraf
tū bhūliyo na itnā hī merā payām hai
kahiyo mirī taraf se na pahuñchā mirā javāb
itnā dimāġh kyā tirā 'hātim' ġhulām hai
qāsid se us ne sun ke haqīqat kahā ki vaah
kyā ḳhuub is suḳhan kā koī ye maqām hai
kahnā use yahī tū ki ai bul-havas hanūz
āshiq huā to par ye tirā ishq ḳhaam hai
ma.ashūq kī janāb meñ koī bhī be-adab
bolā hai is tarah se jo terā kalām hai