Shaikh Zahuruddin Hatim

kashish se dil ki us abru-kaman ko hum rakha bahla

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
kashish se dil kī us abrū-kamāñ ko ham rakhā bahlā
jo kar qabze meñ dil sab kā phire thā sab se vo gahlā
jo guzrā arsh se ye na falak kursī hai us aage
kare hai lā-makāñ kī sair āshiq chhoḌ nau-mahlā
thakā āḳhir ko majnūñ ġham se rāh-e-ishq meñ mere
ġhubār-e-ḳhātir o aañsū kī bārish dekh kar chahlā
gulābī la.al kī huī har kalī mai-nosh sun tujh ko
chaman meñ hai khaḌī le jām-e-nīlam nargis-e-shahlā
rakhī hai ham ne baazī zor se shamshīr ke dushman
kiyā chāhe thā sar vāsoḳht ho mujh naqsh se dahlā
tumhāre husn ke gulshan meñ pyāre kuchh na chhoḌūñgā
raqīboñ ke sar uupar chaḌh ke toḌūñgā ye phal pahlā
ye thā 'nājī' ko lāzim ta۔an karnā har suḳhan-go par
javāb is ġhazal kā 'hātim' nahīñ kuchh kaam to kah lā
Top Urdushayar.com