Shaikh Zahuruddin Hatim

chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
chaman meñ dahr ke har gul hai kaan kī sūrat
har ek ġhuncha hai us meñ zabān kī sūrat
nahīñ hai shikva agar vo nazar nahīñ aatā
kisū ne dekhī nahīñ apnī jaan kī sūrat
kaheñ to sab haiñ jahāñ ko rabāt-e-kohna vale
hamesha hai gī na.ī is makān kī sūrat
jo dekhtā hai so pahchāntā nahīñ, aisī
badal ga.ī hai dil-e-nā-tavān kī sūrat
jo niklī baize se bulbul to huī asīr-e-qafas
na dekhī khol ke aañkh āshiyān kī sūrat
agar hazār musavvir ḳhayāl dil meñ kareñ
kabhū na khīñch sakeñ us kī aan kī sūrat
falak ke ḳhvān upar us kī tañg-chashmī se
kabhū nazar na paḌī mehmān kī sūrat
ghaḌī ghaḌī meñ badaltā hai rañg ai 'hātim'
hamesha bū-qalamūñ hai jahān kī sūrat
Top Urdushayar.com