kyā huā gar shaiḳh yaaro hājī-ul-harmain hai
tauf-e-dil kā haq meñ us ke diin farz-e-ain hai
raat din jaarī haiñ kuchh paidā nahīñ in kā kanār
mere chashmoñ kā do-ābā majma-ul-bahrain hai
ġhair jaave us ke ghar aur vo na aave ghar mire
donoñ bāteñ dostāñ haq meñ mire ḳhabrain hai
vaqt fursat de to mil baiTheñ kahīñ bāham do dam
ek muddat se diloñ meñ hasrat-e-tarfain hai
aao ai saaqī shitābī aa ke sham-e-bazm ho
saarī majlis intizārī meñ tirī bechain hai
do qaran guzre isī fikr-e-suḳhan meñ roz-o-shab
reḳhte ke fan meñ 'hātim' aaj zulqarnain hai