Shaikh Zahuruddin Hatim

ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ajab ahvāl dekhā is zamāne ke amīroñ kā
na un ko Dar ḳhudā kā aur na un ko ḳhauf pīroñ kā
misāl-e-mahr-o-mah din raat khāte charḳh phirte haiñ
falak ke haath se ye haal hai raushan-zamīroñ kā
qafas meñ pheñk ham ko phir vahīñ sayyād jaatā hai
ḳhudā hāfiz hai gulshan meñ hamāre ham-safīroñ kā
mujhe shikva nahīñ be-rahm kuchh tere taġhāful se
khule-bandoñ phire tū haal kyā jaane asīroñ kā
dil-e-yāqūt hai tujh la.al-e-lab ke rashk se pur-ḳhūñ
tire dandāñ ke aage ghaT gayā hai mol hīroñ kā
kiyā hai us nishāñ-andāz ne tarkash tahī mujh par
mirī chhātī sirā ho jis upar toda hai tīroñ kā
hameñ dīvān-ḳhāne se kisī mun.im ke kyā 'hātim'
hai āzādoñ ke gar rahne ko bas takiya faqīroñ kā
Top Urdushayar.com