daurā hai jab se bazm meñ terī sharāb kā
bāzār garm hai mire dil ke kabāb kā
ḳhūbāñ ko kis tarah se lagā le hai baat meñ
bandā huuñ apnī tab-e-zarāfat-ma.āb kā
jo nāma-bar gayā na phirā ek ab talak
ai dil tū intizār abas hai javāb kā
hasrat ye hai ki raat ko aa.e vo māh-rū
daulat se us kī diid karūñ māhtāb kā
altāf meñ bhī us ke aziyyat hai sau tarah
lā.ūñ kahāñ se hausla us ke itaab kā
ruḳhsār ke araq kā tire bhaav dekh kar
paanī ke mol nirḳh huā hai gulāb kā
'hātim' yahī hamesha zamāne kī chaal hai
shikva bajā nahīñ hai tujhe inqalāb kā