Shaikh Zahuruddin Hatim

tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tumhāre ishq meñ ham nañg-o-nām bhuul ga.e
jahāñ meñ kaam the jitne tamām bhuul ga.e
namāziyoñ ne tujh abrū ko dekh masjid meñ
ba-samt-e-qibla sujūd-o-qayām bhuul ga.e
ye vaz.a kyā hai ki hote nahīñ ho dast-basar
abhī se apnoñ kā lenā salām bhuul ga.e
ga.e the zo.am meñ apne par us ko dekhte hī
jo dil ne ham se kahe the payām bhuul ga.e
tirī taraf huī sūrat-garān-e-chīñ kī nigāh
qalam ko haath se rakh apnā kaam bhuul ga.e
butān-e-charb-zabāñ sun ke ḳhūbi-e-guftār
adab meñ dab ga.e husn-e-kalām bhuul ga.e
tirī ai sarv-e-ravāñ dekh kar anokhī chaal
jo ḳhush-ḳhirām the apnā ḳhirām bhuul ga.e
tirī ye zulf-e-girah-gīr dekh kar sayyād
shikār aap hue said o daam bhuul ga.e
baḌā ġhazab hai ki 'hātim' ko tum na pahchānā
vahī qadīm tumhārā ġhulām bhuul ga.e
Top Urdushayar.com