Shaikh Zahuruddin Hatim

kyunki diwana beDiyan toDe

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
kyūñki dīvāna beḌiyāñ toḌe
is ko jaane hai paañv ke toḌe
sab ne moḌā hai muñh ḳhudā na kare
terī tarvār ham se muñh moḌe
tere kūche meñ sar shahīdoñ ke
haiñ paḌe jaise baaT ke roḌe
zarf TuuTā to vasl hotā hai
dil koī TuuTā kis tarah joḌe
ek parvāz meñ dikhā.ūñ par
jo vo sayyād mere ta.iiñ chhoḌe
kohkan jāñ-kanī hai mushkil kaam
varna bahtere haiñ pathar phoḌe
har ghaḌī ham ko āzmānā kyā
chāhne vaale aur haiñ thoḌe
qatl kartā hai tū jo 'hātim' ko
kaun uThāvegā tere naktoḌe
Top Urdushayar.com