Shaikh Zahuruddin Hatim

hamari aql-e-be-tadbir par tadbir hansti hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
hamārī aql-e-be-tadbīr par tadbīr hañstī hai
agar tadbīr ham karte haiñ to taqdīr hañstī hai
asīroñ kā nahīñ kuchh shor-o-ġhul ye aaj zindāñ meñ
mire dīvāna-pan ko dekh kar zanjīr hañstī hai
kabhū pahuñchī na is ke dil talak rah hī meñ thak baiThī
bajā us āh-e-be-tāsīr par tāsīr hañstī hai
tū sūrat us kī kyā khīñgā apnī dekh to sūrat
musavvir is tirī tasvīr par tasvīr hañstī hai
vahī hai mard jo ho rū-ba-rū tarvār ke 'hātim'
ki muñh ke pherte nāmard par shamshīr hañstī hai
Top Urdushayar.com