tū sub.h-dam na nahā be-hijāb dariyā meñ
paḌegā shor ki hai āftāb dariyā meñ
chalo sharāb piyeñ baiTh kar kināre aaj
ki hove rashk se maahī kabāb dariyā meñ
tumhāre muñh kī safā.ī o āb-dārī dekh
bahā hai sharm se motī ho aab dariyā meñ
maiñ is tarah se huuñ mehmāñ sara-e-duniyā meñ
ki jis tarah se hai koī hubāb dariyā meñ
jahāñ ke bahr meñ har mauj buujh sail-e-fanā
banā na ghar ko tū ḳhāna-ḳharāb duniyā meñ
kabhū jo ālam-e-mastī meñ tum ne kī thī nigāh
bajā.e aab bahe hai sharāb dariyā meñ
maiñ āb-e-chashm meñ huuñ ġharq mujh ko niiñd kahāñ
kahīñ kisū ko bhī aayā hai ḳhvāb dariyā meñ
agar hai ilm jo tujh ko amal ke dar pe ho
vagarna shaiḳh Dubā de kitāb dariyā meñ
sanam kī zulf kī lahroñ ke rashk se 'hātim'
nahīñ ye mauj ye hai pech-o-tāb dariyā meñ