kalejā muñh ko aayā aur nafas karne lagā tañgī
huā kyā jaan ko merī abhī to thī bhalī-chañgī
zaqan kī chaah meñ ye sabzī-e-ḳhat zahr-e-qātil hai
parī hai bhāñg kuue meñ na ho kyuuñ ḳhalq chit-bhañgī
jahāñ kī tarah sau sau rañg pal pal meñ badaltā hai
kabhū kuchh hai kabhū kuchh hai kabhū kuchh hai vo bahū-rañgī
tire ruḳhsār se be-tarah lipTī jaa.e hai zālim
jo kuchh kahiye to bal khā uljhatī hai zulf be-Dhañgī
ġharīboñ kā ḳhudā-hāfiz hai 'hātim' dekhiye kyā ho
ki vo hai chuur kaifī haath meñ shamshīr hai nañgī