sanam ke dekh kar lab aur dahan surḳh
huā hai ḳhūn-e-bulbul se chaman surḳh
shahīd-e-lāla-rūyāñ ko bajā hai
dafan ke vaqt gar kiije kafan surḳh
huā majnūñ ke haq meñ dasht gulzār
kiyā hai ishq ke Tesū ne ban surḳh
guloñ kā rañg ab zard ho gayā hai
chaman meñ dekh kar terā badan surḳh
kar 'hātim' yaad ahvāl-e-shahīdāñ
shafaq se jab ki hotā hai gagan surḳh