Shaikh Zahuruddin Hatim

teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tirī bhuvāñ kī teġh jab aa.ī nazar mujhe
karnā huā zarūr miyāñ tark-e-sar mujhe
zīnat hai āshiqoñ ko lab-e-ḳhushk o chashm-e-tar
hāsil huī hai saltanat-e-bahr-o-bar mujhe
bārīk-bīñ huuñ mujh se kaho us miyāñ kī baat
rahtā hai bas-ki dil meñ ḳhayāl-e-kamar mujhe
be-ḳhud huuñ is qadar ki nahīñ dil ko shauq-e-mai
us mast ki nigah kā huā hai asar mujhe
maiñ koh o dasht ek qadam meñ kiyā hai tai
majnūñ o kohkan kī nahīñ kuchh ḳhabar mujhe
jab sīm-bar ke ġham se huā rañg juuñ talā
tab sab ne jā aziiz kiyā misl-e-zar mujhe
'hātim' huā huuñ āl-e-nabī kī panāh meñ
duniyā o diiñ ke ġham se nahīñ kuchh ḳhatar mujhe
Top Urdushayar.com