Shaikh Zahuruddin Hatim

tu jo kahta hai bolta kya hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
tū jo kahtā hai boltā kyā hai
amr-e-rabbī hai rūh-e-maulā hai
jab talak hai judā tū hai qatra
bahr meñ mil gayā to dariyā hai
fil-haqīqat koī nahīñ martā
maut hikmat kā ek pardā hai
aur sharī.at kī pūchhtā hai tū yaar
vahdahū lā-sharīk yaktā hai
haigā vahm-o-qayās se bāhar
vo na tujh sā hai aur na mujh sā hai
jahāñ ho jo kaho samī-o-basīr
sab ko dekhe hai sab kī suntā hai
nazar aatā nahīñ vo a.amā ko
varna us kā zuhūr sab jā hai
var tarīqat kā tū kare hai savāl
so to kahtā huuñ gar samajhtā hai
ġhair-e-haq ke na dekh ġhair taraf
dīda-e-dil jo terā biinā hai
baat suntā hai to usī kī sun
gar tarīqat se tujh ko bahrā hai
us ke tū zikr bin na kar kuchh zikr
gar dahāñ meñ zabān-e-goyā hai
haath se kaam bhī usī kā kar
paañv se chal jo raah us kā hai
kaam is meñ baḌā hai nafs-kushī
ho sake to ajab tamāshā hai
ma.arifat pūchh kyā hai aarif se
jis ko irfān hai so to gūñgā hai
jis ne paayā use so hai ḳhāmosh
jis ne paayā nahīñ so baktā hai
aap hī aap hai jahāñ dekho
kullo-shai.in muhīt-e-paidā hai
ishq kā martaba hai sab se buland
sar se pahle qadam guzartā hai
jo huā sirr-e-ishq se āgāh
aage marne se aap martā hai
jo fanā ho huā baqā-billāh
kab use zindagī kī parvā hai
us ko har aan har qadam har dam
az surā sair tā-surayyā hai
ramz-e-tauhīd ko samajh kar bol
gar tū sāhib-shu.ūr-o-dānā hai
vo na samjhegā ye suḳhan 'hātim'
jis ko jahl aur ḳhayāl-e-saudā hai
Top Urdushayar.com