gul kī aur bulbul kī sohbat ko chaman kā shāna hai
sarv hai juuñ sham.a tis par fāḳhta parvāna hai
roz o shab yā nauha yā zaarī hai yā āh-o-fuġhāñ
yā ilāhī ye koī dil hai ki mātam-ḳhāna hai
tan kar us kī teġh ke aage huā hai sar-ba-kaf
hai qayāmat hai ġhazab ye dil hai yā dīvāna hai
bulbul-e-tasvīr kī mānind said-e-dil ke ta.iiñ
ne havā uḌne kī ne parvā-e-āb-o-dāna hai
ek hālat par na dekhā us ko ham ne ek aan
gah gul o gah bulbul o gah sham.a o gah parvāna hai
mo.atakif ho shaiḳh apne dil meñ masjid se nikal
sāhib-e-dil kī baġhal meñ dil ibādat-ḳhāna hai
mai-kasho mujh ko tumhārī bazm kī hasrat nahīñ
paas mere diida o dil shīsha o paimāna hai
ḳhvāb meñ the jab talak thā dil meñ duniyā kā ḳhayāl
khul ga.iiñ āñhkeñ to dekhā ham ne sab afsāna hai
sher ustādāna o 'hātim' hai be-bākāna-vaz.a
tab.a āzādāna o auqāt darveshāna hai