gar bhalā mānas hai to ḳhandoñ se tū mil mil na hañs
muskurā juuñ ġhuncha par gul kī tarah khil khil na hañs
ro ruvā chāhe jatā rone se jā hai dil se dañg
zañg ho hai dil upar hañsne se aa ai dil na hañs
tū hañse hai maut ko aur maut hañstī hai tujhe
maut ko hañsnā nahīñ hai ḳhuub ai ġhāfil na hañs
aql se hai duur hañsnā dam-ba-dam aaqil ke ta.iiñ
aql hai tū to kisī be-aql par aaqil na hañs
hañs jatā chāhe akelā hañs tū dīvāne kī tarah
par hañsī meñ tū kisī hañste se ho shāmil na hañs
jo hañsī hai aur ko us ne hañsāyā aap ko
is hañsī meñ kuchh nahīñ hāsil hai be-hāsil na hañs
hañste hañste meñ ka.ī ke ghar lage haiñ ḳhālse
zabt kar apnī hañsī 'hātim' tū ab yak til na hañs