Shaikh Zahuruddin Hatim

jab aap se hi guzar gae hum

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
jab aap se hī guzar ga.e ham
phir kis se kaheñ kidhar ga.e ham
kyā ka.aba o dair o kyā ḳharābāt
tū hī thā ġharaz jidhar ga.e ham
aa.e the misāl-e-sho.ala sargarm
jaate hue juuñ sharar ga.e ham
shabnam kī tarah se us chaman se
hote hī dam-e-sahar ga.e ham
kuchh apne ta.iiñ kiyā na ma.alūm
kyā aap se be-ḳhabar ga.e ham
juz hasrat-e-umr-e-rafta afsos
kuchh aa ke yahāñ na kar ga.e ham
shaiḳhī se guzar hue qalandar
bigḌe the par ab sañvar ga.e ham
is darja hue ḳharāb-e-ulfat
jī se apne utar ga.e ham
faiz us lab-e-īsvī kā 'hātim'
bil-aks huā ki mar ga.e ham
Top Urdushayar.com